यादों से वापिस लाया जाए...

 yaadon se vapis usko apni zindagi mai bulaaya jaaye..

rutha hai vo ishq se chalo aaj ishq se hee use mnaaya jaaye..

uske chod jaane ke gam mai khud ko sambhalna bhool gya mai,

chalo aaj dil ka ye bikhra huya saamaan sajaaya jaaye..

yaadon se vapis usko apni zindagi mai bulaaya jaaye..

 

vo ek haseeen pari thi meri or mai usko sapno mai dekhne vala hoon..

door ho gyi toh kya huya usko hamesha dil ke pass rakhne vala hoon.. 

rangeen phoolon ke ghar mai sjaake rakhi hai maine har mulaakat uski,

vo toh mere liye phoolon ka baag hai mai mahaj uske liye phoolon ki ek maala hoon..


chalo aaj un phoolon ko ishq ki dor mai sajaaya jaaye..

yaadon se vapis usko apni zindagi mai bulaaya jaaye..

 

zindagi ke ek kone mai hamesha khushiyon ki ek muthi honi chahea..

anjaan raahon mai musafir ke liye chaay ki ek ghumthi honi chahea..

jwaab bhi nhi dete vo jinke jwaab ke liye ham intzaar karte rehte hain..

koi yaadon se kah do yr hafte mai ek din ishq ki bhi chhuti honi chahea.. 


ishq mai chhuti ho toh jaan ko apna ye shahar ghumaaya jaaye..

yaadon se vapis laake  jaan ko apni zindagi mai bulaaya jaaye.. 

Comments

Popular posts from this blog

MIRACLE VS REALITY

दुआ करना वापिस सबसे मिल सकूँ ....

तुम्हारी याद ?