इश्क़ की क़िताब ...
मैंने उसे अपने हर सवाल का जवाब माना है ,
दोस्त तो बहुत हैं मेरी ज़िन्दगी में ,
मगर उसे मैंने अपने इश्क़ की किताब माना है।
jab galiyon mai ishq dhunhd raha tha tab khuda ne mujhe ek baat btaayi thi..
tere ishq ka koi daam nhi hai baazar-e-ishq mai ye baat khuda ne samjhaayi thi..
baat nhi maani khuda ki maine or dil lgaa liya us anjaan ishq se,
jo pehli daffa shayar ki galiyon mai ishq karne aayi thi..
baatain huyi, mulaaktain huyi, or dil ko uski addat bhi lag gyi,
magar bhool gya tha mai vo ishq karke shayar ko sirf rulaane aayi thi..
kahaani adhuri rahegi hmari or is adhuri kahaani ka ek khuaaw ho tum..
dost toh bahut hai meri zindagi mai magar mere ishq ki kitaab ho tum..
mohbbat se mohbbat huyi ab mohbbat ko mohbbat ke vare mai btaana kyaa..
jo ishq aaj tak chhipa nhi khuda se vo is duniya ke logon se chhipaana kya..
ishq ka makaan bnaane se pehle hee tod di dil ki deewar mohbbat ne,
dil mai ek tarfa ishq rah gya meri jaan, ab ek tarfa ishq kisi ko jtaana kya..
mere ishq ke panno par dil ki kahaaniyon se chhapaa ek raaj ho tum..
dost toh bahut hai meri zindagi mai magar mere ishq ki kitaab ho tum..
ishq ki mohbbat se ladaayi huyi choti ci baat se pyaar ki uljhane badhati gyi..
jaise chal rahi thi zindagi uske chod jaane ke baad zindagi baise hee chalti gyi..
dard-e-jisam ka haal dekh ke pyaar badal liya tha usne,
ham byaan na kar paaye apne dard-e-dil ka haal or vo apni yaadon ke sath mohbbat karti chali gyi..
mere ishq ke ganit ka ek bada uljhaa huya hisaab ho tum..
dost toh bahut hai meri zindagi mai magar mere ishq ki kitaab ho tum..
Ohh very nice ☺️☺️
ReplyDelete