बारिश ए मोहब्बत .....

BAARISH-E-MOHBBAT mai intkaam bahut hain..

jo anjaan hai ishq se unke naam bahut hain..

sharma ji ki kahaniyon mai toh bahut log aate hain,

magar kuch ke dil tute toh kuch badnaam bahut hain..


BAARISH-E-MOHBBAT mai intkaam bahut hain..


mohbbat kisi ko aadat toh kisi ko ibaadat maan leti hai..

ye ishq ki pudiya hai jnaab aache aache ki jaan le leti hai..

darte hain kuch ishq se toh kuch ishq se khel khelte hain..

koi ek se hee sachha ishq karta hai,

magar koi ek ke sath na jaane kitno ko jhelte hain..


soche the ham jis se dil lgaane ko uske pass paigaam bahut hain,  

BAARISH-E-MOHBBAT mai intkaam bahut hain..


koi kadar nhi karta ishq ki toh koi bewajeh ishq ki pehchaan ban jaata hai..

shayar ko maloom hota hai ki ye ishq  kya kya karba sakta hai,

magar vo sab jaante huye bhi anjaan ban jaata hai,

jo karta hai mohbbat dil se unke aksar dil tute jaate hain,

ishq mai bewafaayi karne vala toh jaan ban jaata hai, 


jismon se ishq karne vale yhan insaan bahut hain,

BAARISH-E-MOHBBAT mai intkaam bahut hain..



Comments

  1. Sir apni gazal toh poori kar dete....

    ReplyDelete
    Replies
    1. maaf karna magar meri life ki saari khaaniyan adhuri hain toh gazal bhi adhuri hee aachi hai..

      Delete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

MIRACLE VS REALITY

दुआ करना वापिस सबसे मिल सकूँ ....

तुम्हारी याद ?