aaj phir yaad aa gyi


aaj phir yaad aa gyi

mahfill mai baithe baithe jeekar huya us raat ka,

jis raat ko dil ne kisi se pehli mulakaat ki thi .

aaj phir yaad aa gyi uski  jisne meri aankhon mai aankhain daal kar baat ki thi .


bewajeh mohobatt ka mjaak udaaye jaa rhe the aur mere dil ki dhadkne bdhaye jaa rhe the .na jaane kya soch rhe the ishak ke baare mai, yun hee dil ki aatma ko aag lgaye jaa rhe the.


kehne ko to mai bhi keh deta ishak ke vaare mai lekin phir  yaad aa gyi uski jiska haath pakad ke maine poore sehar mai khoobsurat njaare sjaaye the .aaj phir yaad aa gyi uski jo apna tiffin box khol ke apne haathon se khana khilaya karti thi.

is mehfiil mai sabke dil ka najariya alag tha, saache pyaar mai pagal dil ka dariyaa bhi alag tha .unki baatain mehfill mai kabhi khusi kabhi gam diye jaa rhi thi, meri dhadkne dheere dheere mujhse kuch kahi jaa rhi thi .


rokne ka man kar rha tha lekin fir yaad aa gyi uski jiska chehra dekh ke mera din shuru hota tha .aaj phir yaad aa gyi uski jiski baahon mai apna sar rakh kar rota tha ....   


aaj phir yaad aa gyi

    

Comments

Popular posts from this blog

MIRACLE VS REALITY

दुआ करना वापिस सबसे मिल सकूँ ....

तुम्हारी याद ?